Tadap ke kehti hai ye Roohe Fatima Zehra
Bala ke dasht me Mera Hussain hai tanha
Dayare ghair me uska nahi’n koi apna
Ajeeb waqt e musibat hai Ya Ali Madadi
Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti


Andhera aankhon me hai aur kamar khameeda hai
Karega kaun madad kis ka ab sahara hai
Nabi ka Noore Nazar kis qadar Akela hai
Lahu rulati hai Mere Pisar ko tanhaai
Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti


Zameen e garm pa hai Laasha e Shabihe Rasool
Badan ke zakhm mehekte hain jaise Khuld ke phool
Hujoom hasrato harmaa’n hai aur jaane Batool
Hai larza haathon me Sarwar ke lab pa Naad e Ali
Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti


Kinaare nehr pa Sote hain Hazrat e Abbas
Adu ke narghe me bekas Hussain hain be aas
Hai saath saath faqat be nawaai ka ehsaas
Jawa’n ki Laash pa kehti hai Sheh ki tashna labi
Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti


Lahu na kaise ho Mohsin ye Baap ka dil hai
Ye imtihan e muhabbat ki sakht manzil hai
Jawa’n ki Laash akele Uthaein mushkil hai
Sitam ki dhoop me tanha khade hain Sibte Nabi
Zaeef Baap se Laashe Pisar nahi’n uthti